How To Root Android Phone in Hindi

Android phone root kare Bina                       Koi Problem Ke


Android phone root karne se hum usko full customize kar sakte hai. Root kiye hua android phone me hum high level ke application chala sakte hai. Is post me aapko rooting ki detaile jankari di gayi hai. Phone root karne ke kai sare tarike hai par root karte samay agar humse kuch galti ho jaye toh phone crash bhi ho sakta hai matlab kharab bhi ho sakta hai. Phone root karne par aapko aapke mobile ka pura controll mil jayega. Rooting process bahot risky hai, Is liye aap apne own risk par kare. Agar aapka phone warranty me hai toh root karne se uski warranty company khatam kar deti hai. Jab aap koi unrooted phone use kar rahe hote hai tab aap sirf as a user uska istmal karte hai par root karne ke bad aapko pure oprating system ka controll mil jata hai. Rooted phone me aap aapne custom ROM install kar sakte hai.
 KingoRoot Se Android Phone Root Kare 

Aindroid mobile root kaise kare

Kingoroot ek software hai jo thodese click me aapka android mobile root karte hai. Kingo root se phone root karne ka ek fayda hai isme risk kam hai phone crash hone ke chances kam hai aapko bus aapna mobile is software se connect karna padta hai root button par click karte hi aapka phone root ho jayega. Phone fully root hone par unroot karne ka bhi option Kingo root provide karta hai.
Root Karne Se Pehle Niche Diye Gaye Baton Ko Pahle achhe se padle =>
  • Apne phone ko kam se kam Full100% chargjayega
  • . Root karte samay phone band nahi hona chahiye.
  • Aapne phone me jo data hai like contacts, Songs, Images and V noideo clips  usko copy karke rakhiye.
  • Root karte samaye phone, pc ya laptop jis par bhi aap kam kar rahe ho wo band nahi hona chahiye.
Ab android Phone ko Root Kaise Kare esske ke liye  Niche ki line Padhe =>

Step 1=> Kingoroot ye software aapne computer ya laptop me install kare.Download karne ke liye download par click kare.

Step 2=> Phone me  USB debugging mode anable kare. Settings me jakar developer options par Tap kare Developer options me  USB debugging mode anable hoga usko enable kare
how to root android smartphone learn in hindi

Dhyan Rahe=>
 Agar Appko Developer Option Nhi Dikh RHA hai  To App Apne Phone ke About Phone Me Jakar Build Number Par 7baar continue click Kare Phir option aa jayega

Step 3=>  Apne computer me Kingo root software open kare aur apna phone USB cable se computer ko connect kare.

Step 4=>  Root button par click kare aur wait kare baki kam Kingo root kar dega thodi hi der me aapka phone root ho jayega
alltechinfo.net kingo

Abi aapka phone successfully root ho gaya hai agar aapko phone wapas unroot karna hai toh  Remove root par click kare aapko phone me root remove ho jayega

Agar  Apko Samjh nhi aaye to Aap Hume comment me likh sakte hai.....

Comments

Popular posts from this blog

Musk ने क्रिएटर्स को दिया लाखों रुपये, ट्विटर से आप भी कर सकते हैं कमाई, इस तरीके से X यूजर्स हुए मालामाल

रेलवे ने बढ़ाया खाने-पीने की वस्तुओं का दाम, लेकिन इस नियम से आपको होगा फायदा

जनवरी 2021 में टाटा से लेकर BMW तक के ये मॉडल होंगे लॉन्च, जानिए इनके बारे में...