How to shorten the video
Hello dosto fir se hajir hun aapkes samne new
useful or helpful trick ke sath aaj ham janege ki
video ka size kam kaise kare android app se
Aaj kal ke jamane me video to sabhi log banate
hi hai par video ka size jada hone se aapke
phone ki memory me jada space nahi bachta
jiske Karan aap lambe time tak video nahi bana
pate or ek do minutes hi video bana pate hai
Or agar aap youtube par video upload karna
chahte hai or paise earn karna chahte hai to ye
kaam aapko or bhi muskil lagne lagta hai kyonki
aapki banai huyi 2 minutes ki bhi video ka size
30-40 mb ho jata hai jiske karam upload hone
me bahut der Lagti hai or kabhi. Kabhi to video
upload hote hote failed bhi ho jata hai tab aapko
bahut gussa aata hai or aayega bhi kyonki aapne
itni mehnat jo ki hai lekin ab chinta karne ki koi
jarurat nahi hai kyonki mai lekar aaya hun aapke
liye video compress karne ka ek aisa application
jiski madad se aap 30 Mb ki Video ka size 5-7
mb ka kar payenge
step-:1 Sabse pehle aap ye video compressor
app download kijiye video compressor
step-:2 ab aap video compressor ko open kijiye
or start par click kijiye
step-:3 ab aap koi 30-40 mb ki video select kare
jo aapne khud banai ho fir categories select low
Medium High his bhi category me compress
karna chahte hai click kare ✔ or compress ki
button par click kar de ab thidi der process hogi
process hone dijiye fir aapko app se ek
notification aayegi iska mtlb hoga ki aapki video
compress ho gayi hai ab aap video ka size check
ksr skte hai video detail me Jake
Comments
Post a Comment